kaam aain talluq ki baisakhiyan chand mathon pe mahtab Tanke gae
kaam aain talluq ki baisakhiyan chand mathon pe mahtab Tanke gae
Ahmad Jahangir
MORE BYAhmad Jahangir
kaam aa.iiñ ta'alluq kī baisākhiyāñ chand māthoñ pe mahtāb Tāñke ga.e
āḳhirī saf meñ baiThe huoñ kī kaho kab uThāyā gayā aur hāñke ga.e
sham.a-dān-e-ġhazal se bhaḌaktī huī ballī-mārāñ meñ koī havelī nahīñ
gomtī ke kināre añdherā huā marsiya sun ke majlis se bāñke ga.e
chiq uThā.ī to duniyā ke bāzār meñ ḳhvāhishoñ kī najāsat kā ambār thā
ham ne bajtā huā har kaTorā sunā aur khiḌkī se chup-chāp jhāñke ga.e
zard sikkoñ kā sandūq khultā rahā baaT chaḌhte rahe maal tultā rahā
chaar jānib se bolī baḌhā.ī ga.ī sher beche ga.e lafz aañke ga.e
shaah shānoñ pe rakkhe hue taḳht par devtā kī samājat meñ masrūf thā
bad-duā.eñ ugalte hue bad-zabāñ aah bharte rahe dhuul phāñke ga.e
āḳhirī bastiyoñ kī kahānī suno surḳh īñToñ kī bhaTTī bujhā.ī ga.ī
phuul retī ke nīche dabā.e ga.e chaah miTTī ke Tīloñ se Dhāñke ga.e
jāñ-kanī kī aziyyat meñ ġham-ḳhvār kyā ek marte hue ko azādār kyā
kab lahad meñ kahīñ sham.a rakkhī ga.ī kyā kafan meñ kabhī phuul Tāñke ga.e
kaam aain ta'alluq ki baisakhiyan chand mathon pe mahtab Tanke gae
aaKHiri saf mein baiThe huon ki kaho kab uThaya gaya aur hanke gae
shama-dan-e-ghazal se bhaDakti hui balli-maran mein koi haweli nahin
gomti ke kinare andhera hua marsiya sun ke majlis se banke gae
chiq uThai to duniya ke bazar mein KHwahishon ki najasat ka ambar tha
hum ne bajta hua har kaTora suna aur khiDki se chup-chap jhanke gae
zard sikkon ka sanduq khulta raha baT chaDhte rahe mal tulta raha
chaar jaanib se boli baDhai gai sher beche gae lafz aanke gae
shah shanon pe rakkhe hue taKHt par dewta ki samajat mein masruf tha
bad-duaen ugalte hue bad-zaban aah bharte rahe dhul phanke gae
aaKHiri bastiyon ki kahani suno surKH inTon ki bhaTTi bujhai gai
phul reti ke niche dabae gae chah miTTi ke Tilon se Dhanke gae
jaan-kani ki aziyyat mein gham-KHwar kya ek marte hue ko azadar kya
kab lahad mein kahin shama rakkhi gai kya kafan mein kabhi phul Tanke gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.