kaam aasan nazar aaya mujhe mushkil ho kar
kaam āsāñ nazar aayā mujhe mushkil ho kar
hāsil-e-umr milā hasrat-e-hāsil ho kar
do jahāñ mujh ko mile haiñ tapish-e-dil ho kar
ik nazar dekh to luuñ dīda-e-bismil ho kar
kis par aatā hai ye ilzām ḳhudā ḳhair kare
meñ tumheñ bhuul gayā ġhair pe maa.il ho kar
kaun sī baat hai ā.īne meñ jo mujh meñ nahīñ
baiTh to jaao zarā mere muqābil ho kar
vahshat-e-be-kasī-e-shauq liye jaatī hai
naqsh-e-pā aage baḌhā dūrī-e-manzil ho kar
ḳhvāhish-e-marg sar-e-rishta-e-ummīd sahī
āḳhir uljhe na kahīñ vo girah-e-dil ho kar
parda-poshī bhī maze de ga.ī allāh allāh
sāmne aa.ī ajal ḳhanda-e-qātil ho kar
nashsha-e-ḳhvāb-e-adam surma-e-bedārī hai
āñkheñ khul jaatī haiñ is parda meñ ġhāfil ho kar
saf-e-mehshar hai mirā halqa-e-āġhosh nahīñ
kyā bache jaate ho aġhyār meñ shāmil ho kar
dil meñ rah kar bhī tamannā kī ḳhabar rakhte nahīñ
qāfile saikḌoñ guzre pas-e-mahmil ho kar
merī nazroñ meñ hai ḳhurshīd-e-qayāmat kī numūd
barsoñ pahlū meñ rahā ābla-e-dil ho kar
āñkheñ phir uThne lagīñ sharm kā parda ban kar
lo vo phir aate haiñ rañg-e-ruḳh-e-mahfil ho kar
gila-e-tishnagī-e-shauq hai ik tūl-e-amal
mil ga.e ḳhaak meñ āḳhir lab-e-sāhil ho kar
tīra-baḳhtī se milā roz-e-jazā ko hissa
rah gayā hai ruḳh-e-afsos pe ik til ho kar
saaf aatā hai nazar tum ho miTāne vaale
kyā kiyā parda-e-taqdīr ne haa.il ho kar
ahl-e-duniyā kī taraf dast-e-duā kyoñ uTTheñ
bhiik aġhyār se ik dost ke saa.il ho kar
jalva un kā hai kalīm un ke haiñ aiman un kā
tuur kyoñ jalne lagā beach meñ haa.il ho kar
asar-e-ġhamza-e-shīrīñ dil-e-ḳhusrav meñ sahī
rah gayā sīnā-e-farhād agar sil ho kar
ai 'vafā' tāle.a-e-nāshād ko rashk aatā hai
ham rahe jaate haiñ nuqsān meñ kāmil ho kar
kaam aasan nazar aaya mujhe mushkil ho kar
hasil-e-umr mila hasrat-e-hasil ho kar
do jahan mujh ko mile hain tapish-e-dil ho kar
ek nazar dekh to lun dida-e-bismil ho kar
kis par aata hai ye ilzam KHuda KHair kare
mein tumhein bhul gaya ghair pe mail ho kar
kaun si baat hai aaine mein jo mujh mein nahin
baiTh to jao zara mere muqabil ho kar
wahshat-e-be-kasi-e-shauq liye jati hai
naqsh-e-pa aage baDha duri-e-manzil ho kar
KHwahish-e-marg sar-e-rishta-e-ummid sahi
aaKHir uljhe na kahin wo girah-e-dil ho kar
parda-poshi bhi maze de gai allah allah
samne aai ajal KHanda-e-qatil ho kar
nashsha-e-KHwab-e-adam surma-e-bedari hai
aankhen khul jati hain is parda mein ghafil ho kar
saf-e-mehshar hai mera halqa-e-aghosh nahin
kya bache jate ho aghyar mein shamil ho kar
dil mein rah kar bhi tamanna ki KHabar rakhte nahin
qafile saikDon guzre pas-e-mahmil ho kar
meri nazron mein hai KHurshid-e-qayamat ki numud
barson pahlu mein raha aabla-e-dil ho kar
aankhen phir uThne lagin sharm ka parda ban kar
lo wo phir aate hain rang-e-ruKH-e-mahfil ho kar
gila-e-tishnagi-e-shauq hai ek tul-e-amal
mil gae KHak mein aaKHir lab-e-sahil ho kar
tira-baKHti se mila roz-e-jaza ko hissa
rah gaya hai ruKH-e-afsos pe ek til ho kar
saf aata hai nazar tum ho miTane wale
kya kiya parda-e-taqdir ne hail ho kar
ahl-e-duniya ki taraf dast-e-dua kyon uTThen
bhik aghyar se ek dost ke sail ho kar
jalwa un ka hai kalim un ke hain aiman un ka
tur kyon jalne laga beach mein hail ho kar
asar-e-ghamza-e-shirin dil-e-KHusraw mein sahi
rah gaya sina-e-farhad agar sil ho kar
ai 'wafa' talea-e-nashad ko rashk aata hai
hum rahe jate hain nuqsan mein kaamil ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.