kaam ab aati nahin hai koi tadbir ki bas
kaam ab aatī nahīñ hai koī tadbīr ki bas
is tarah rūThī hai mujh se mirī taqdīr ki bas
dushman-e-jāñ bhī chalā aa.e khiñchā aap ke paas
kījiye aahoñ meñ paidā koī tāsīr ki bas
baad marne ke khulī rah ga.iiñ āñkheñ merī
is qadar aap ne kī aane meñ tāḳhīr ki bas
TuuT kar chuur huā ā.ina-e-dil merā
haa.e kuchh aisī milī ḳhvāboñ kī ta.abīr ki bas
ranj-o-ġham dard-o-alam dīda-e-nam yaar sanam
aur kuchh is ke sivā hai koī jāgīr ki bas
jis ko firdaus-e-zamīñ kahtī thī duniyā 'nāzāñ'
kyā vahī aaj bhī hai vādī-e-kashmīr ki bas
kaam ab aati nahin hai koi tadbir ki bas
is tarah ruThi hai mujh se meri taqdir ki bas
dushman-e-jaan bhi chala aae khincha aap ke pas
kijiye aahon mein paida koi tasir ki bas
baad marne ke khuli rah gain aankhen meri
is qadar aap ne ki aane mein taKHir ki bas
TuT kar chur hua aaina-e-dil mera
hae kuchh aisi mili KHwabon ki tabir ki bas
ranj-o-gham dard-o-alam dida-e-nam yar sanam
aur kuchh is ke siwa hai koi jagir ki bas
jis ko firdaus-e-zamin kahti thi duniya 'nazan'
kya wahi aaj bhi hai wadi-e-kashmir ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.