kaam bas fatiha-KHwani se nahin hota hai
kaam bas fātiha-ḳhvānī se nahīñ hotā hai
ishq iz.hār zabānī se nahīñ hotā hai
hai ye qur.ān amal karne kī daulat yaaro
nafā bas lafz-e-ma.ānī se nahīñ hotā hai
kuchh ināyat yahāñ ahbāb bhī kar jaate haiñ
sab ziyāñ dushman-e-jānī se nahīñ hotā hai
kaam ho jaatā hai bas misra.a-e-avval se bhī kabhī
kaam jo misra-e-sānī se nahīñ hotā hai
ye tijārat nahīñ ik aham ibādat hai miyāñ
ishq meñ lābh-o-hānī se nahīñ hotā hai
ba.az auqāt Thaharne kī talab hotī hai
kaam har vaqt ravānī se nahīñ hotā hai
jān-levā kabhī ḳhāmoshī bhī ho jaatī hai
ḳhuun bas sho.ala-bayānī se nahīñ hotā hai
aarzī pyaas to bujh jaatī hai is se lekin
pyaas miT jaa.e ye paanī se nahīñ hotā hai
piinā paḌtā hai yahāñ jām-e-shahādat 'qādir'
naam bas qissa kahānī se nahīñ hotā hai
kaam bas fatiha-KHwani se nahin hota hai
ishq izhaar zabani se nahin hota hai
hai ye quran amal karne ki daulat yaro
nafa bas lafz-e-maani se nahin hota hai
kuchh inayat yahan ahbab bhi kar jate hain
sab ziyan dushman-e-jaani se nahin hota hai
kaam ho jata hai bas misra-e-awwal se bhi kabhi
kaam jo misra-e-sani se nahin hota hai
ye tijarat nahin ek aham ibaadat hai miyan
ishq mein labh-o-hani se nahin hota hai
baz auqat Thaharne ki talab hoti hai
kaam har waqt rawani se nahin hota hai
jaan-lewa kabhi KHamoshi bhi ho jati hai
KHun bas shoala-bayani se nahin hota hai
aarzi pyas to bujh jati hai is se lekin
pyas miT jae ye pani se nahin hota hai
pina paDta hai yahan jam-e-shahadat 'qadir'
nam bas qissa kahani se nahin hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.