kaam dariya se aur lunga main
kaam dariyā se aur lūñgā maiñ
us se paanī nahīñ bharūñgā maiñ
tab mirā asl dekhne aanā
raakh se jis samay uThūñgā maiñ
chaak ko bhī ḳhabar nahīñ is kī
tere hāthoñ se kyā banūñgā maiñ
jab mujhe duniyā dekhnī hogī
terī āñkhoñ meñ jhāñk lūñgā maiñ
ghar banāte hue na sochā thā
ghar ziyāda nahīñ rahūñgā maiñ
tū agar aaj bhī na aayā to
in parindoñ se kyā kahūñgā maiñ
kaam dariya se aur lunga main
us se pani nahin bharunga main
tab mera asl dekhne aana
rakh se jis samay uThunga main
chaak ko bhi KHabar nahin is ki
tere hathon se kya banunga main
jab mujhe duniya dekhni hogi
teri aankhon mein jhank lunga main
ghar banate hue na socha tha
ghar ziyaada nahin rahunga main
tu agar aaj bhi na aaya to
in parindon se kya kahunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.