kaam duniyā meñ bahut karnā hai
qabl marne ke hameñ marnā hai
aa.iye naza.a kā hañgām hai ab
mashvara aap se kuchh karnā hai
dil ne ye kah ke kahīñ chhoḌā saath
ham ko kuchh kaam yahāñ karnā hai
qatl karne meñ takalluf na karo
āḳhir ik roz hameñ marnā hai
tum se ik roz kareñge taqrīr
apnī bātoñ meñ asar bharnā hai
tum ko dikhlā.eñge dil kī tasvīr
jā-ba-jā rañg abhī bharnā hai
rok lo girya-e-ḳhūnīñ ko 'azīz'
dil kā nāsūr abhī bharnā hai
kaam duniya mein bahut karna hai
qabl marne ke hamein marna hai
aaiye naza ka hangam hai ab
mashwara aap se kuchh karna hai
dil ne ye kah ke kahin chhoDa sath
hum ko kuchh kaam yahan karna hai
qatl karne mein takalluf na karo
aaKHir ek roz hamein marna hai
tum se ek roz karenge taqrir
apni baaton mein asar bharna hai
tum ko dikhlaenge dil ki taswir
ja-ba-ja rang abhi bharna hai
rok lo girya-e-KHunin ko 'aziz'
dil ka nasur abhi bharna hai
Source :
- Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.