kaam hai un ka jafa wo ba-wafa kahne ko hain
kaam hai un kā jafā vo bā-vafā kahne ko haiñ
dete haiñ jo dard-e-dil ahl-e-shifā kahne ko haiñ
ham to samjhe the vo sāhil par utāreñge hameñ
Daal dī naav bhañvar meñ nā-ḳhudā kahne ko haiñ
fāsloñ se kam na hoñge ruuh ke rishte kabhī
vo hamesha dil meñ haiñ dil se judā kahne ko haiñ
munfarid un kī mohabbat munfarid un kī vafā
dūriyāñ rakhte haiñ phir bhī ham-navā kahne ko haiñ
un kī ik abrū kī jumbish bhī suḳhan-var hai bahut
hai zabāñ bhī un ke muñh meñ mudda'ā kahne ko haiñ
dūsroñ ko rāsta dikhlā.eñge vo kis tarah
rāh-e-gum-karda haiñ ḳhud aur rahnumā kahne ko haiñ
ho ga.ī hai āgahī un se 'sabīha' is qadar
jaan letī huuñ maiñ itnā ab vo kyā kahne ko haiñ
kaam hai un ka jafa wo ba-wafa kahne ko hain
dete hain jo dard-e-dil ahl-e-shifa kahne ko hain
hum to samjhe the wo sahil par utarenge hamein
Dal di naw bhanwar mein na-KHuda kahne ko hain
faslon se kam na honge ruh ke rishte kabhi
wo hamesha dil mein hain dil se juda kahne ko hain
munfarid un ki mohabbat munfarid un ki wafa
duriyan rakhte hain phir bhi ham-nawa kahne ko hain
un ki ek abru ki jumbish bhi suKHan-war hai bahut
hai zaban bhi un ke munh mein mudda'a kahne ko hain
dusron ko rasta dikhlaenge wo kis tarah
rah-e-gum-karda hain KHud aur rahnuma kahne ko hain
ho gai hai aagahi un se 'sabiha' is qadar
jaan leti hun main itna ab wo kya kahne ko hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.