kaam humne ye bhi achchha kar liya
kaam ham ne ye bhī achchhā kar liyā
zaḳhm apnā aur taazā kar liyā
muflisī meñ zindagī yuuñ kaT rahī
shauq kam kar ke guzārā kar liyā
pankh aate uḌ ga.e panchhī sabhī
phir shajar ne ḳhud ko tanhā kar liyā
guftugū kartā huuñ ḳhud se maiñ sadā
jab se us ne mujh se jhagḌā kar liyā
'ishq meñ haare magar ro.e nahīñ
'ishq ham ne phir dubāra kar liyā
kaam hum ne ye bhi achchha kar liya
zaKHm apna aur taza kar liya
muflisi mein zindagi yun kaT rahi
shauq kam kar ke guzara kar liya
pankh aate uD gae panchhi sabhi
phir shajar ne KHud ko tanha kar liya
guftugu karta hun KHud se main sada
jab se us ne mujh se jhagDa kar liya
'ishq mein haare magar roe nahin
'ishq hum ne phir dubara kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.