kaam hirs-o-havas kā thoḌī hai
'ishq har ik ke bas kā thoḌī hai
vo mirī dastaras meñ hai lekin
mas.ala dastaras kā thoḌī hai
aah āzād chhoḌ de ki miyāñ
ye parinda qafas kā thoḌī hai
tā-ba-kai sar pe āsmān uThā.eñ
hijr yak do nafas kā thoḌī hai
ab to bas suur phūñkiye ki ye kaam
ab sadā-e-jaras kā thoḌī hai
apnī tanhā.ī chhoḌ duuñ kyūñkar
saath ik do baras kā thoḌī hai
jast bharne kā vaqt hai 'tāsif'
vaqt ye pesh-o-pas kā thoḌī hai
kaam hirs-o-hawas ka thoDi hai
'ishq har ek ke bas ka thoDi hai
wo meri dastaras mein hai lekin
masala dastaras ka thoDi hai
aah aazad chhoD de ki miyan
ye parinda qafas ka thoDi hai
ta-ba-kai sar pe aasman uThaen
hijr yak do nafas ka thoDi hai
ab to bas sur phunkiye ki ye kaam
ab sada-e-jaras ka thoDi hai
apni tanhai chhoD dun kyunkar
sath ek do baras ka thoDi hai
jast bharne ka waqt hai 'tasif'
waqt ye pesh-o-pas ka thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.