kaam honge na kuchh bhi dua ke siwa
kaam hoñge na kuchh bhī du'ā ke sivā
yā'nī koī nahīñ hai ḳhudā ke sivā
sach kahūñgā to maslūb kar degā vo
aur degā bhī kyā is sazā ke sivā
bhuul kar bhī na un se ulajhnā kabhī
jin kā koī nahīñ hai ḳhudā ke sivā
ye añdhere meñ raushan hai jo ik diyā
is kā koī nahīñ hai havā ke sivā
vo jo uTh kar gayā merī dahlīz se
us ko kyā chāhiye thā vafā ke sivā
aaj 'ahmad' ye ehsās ham ko huā
koī apnā nahīñ hai ḳhudā ke sivā
kaam honge na kuchh bhi du'a ke siwa
ya'ni koi nahin hai KHuda ke siwa
sach kahunga to maslub kar dega wo
aur dega bhi kya is saza ke siwa
bhul kar bhi na un se ulajhna kabhi
jin ka koi nahin hai KHuda ke siwa
ye andhere mein raushan hai jo ek diya
is ka koi nahin hai hawa ke siwa
wo jo uTh kar gaya meri dahliz se
us ko kya chahiye tha wafa ke siwa
aaj 'ahmad' ye ehsas hum ko hua
koi apna nahin hai KHuda ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.