kaam is dil ki tabahi se liya kya jae
kaam is dil kī tabāhī se liyā kyā jaa.e
sochtā huuñ ki ḳharābe meñ kiyā kyā jaa.e
ai kisī yaad kī khiḌkī se guzarte mausam
kyā diyā jaa.e tujhe aur liyā kyā jaa.e
is garebāñ ko kisī mauj meñ aa kar maiñ ne
chaak agar kar hī liyā hai to siyā kyā jaa.e
terī ḳhvāhish ke kisī āḳhirī darvāze par
marnā mumkin na rahe gar to jiyā kyā jaa.e
kaam is dil ki tabahi se liya kya jae
sochta hun ki KHarabe mein kiya kya jae
ai kisi yaad ki khiDki se guzarte mausam
kya diya jae tujhe aur liya kya jae
is gareban ko kisi mauj mein aa kar main ne
chaak agar kar hi liya hai to siya kya jae
teri KHwahish ke kisi aaKHiri darwaze par
marna mumkin na rahe gar to jiya kya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.