kaam jab karta hai insan azm-e-insani ke sath
kaam jab kartā hai insāñ azm-e-insānī ke saath
pher detā hai vo dariyā kā bhī ruḳh paanī ke saath
vaqt jab se ho gayā un kī sitam-rānī ke saath
ghar bhī vīrāñ ho gayā hai dil kī vīrānī ke saath
us kā andāz-e-takallum kis ke bas kī baat hai
vo to kāñTe bhī chubhotā hai gul-afshānī ke saath
aaj samjhāte hue nāseh ne āḳhir kah diyā
kaun maiḳhāne se nikle pāk-dāmānī ke saath
kitne parde mujh pe the jab sher maiñ kahtā na thā
maiñ bhī rusvā ho gayā apnī ġhazal-ḳhvānī ke saath
ḳhair ab tak jis tarah guzrī guzārī ai 'zuhūr'
zindagī ab to guzāro pāk-dāmānī ke saath
kaam jab karta hai insan azm-e-insani ke sath
pher deta hai wo dariya ka bhi ruKH pani ke sath
waqt jab se ho gaya un ki sitam-rani ke sath
ghar bhi viran ho gaya hai dil ki virani ke sath
us ka andaz-e-takallum kis ke bas ki baat hai
wo to kanTe bhi chubhota hai gul-afshani ke sath
aaj samjhate hue naseh ne aaKHir kah diya
kaun maiKHane se nikle pak-damani ke sath
kitne parde mujh pe the jab sher main kahta na tha
main bhi ruswa ho gaya apni ghazal-KHwani ke sath
KHair ab tak jis tarah guzri guzari ai 'zuhur'
zindagi ab to guzaro pak-damani ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.