kaam kya kijiye aaghaz wahan az-sar-e-nau
kaam kyā kījiye āġhāz vahāñ az-sar-e-nau
az-sar-e-nau bhī na rah paa.e jahāñ az-sar-e-nau
kohna buniyādoñ pe Dhote raheñ ḳhud ko kab tak
chāhiye ab ki ho tā'mīr-e-makāñ az-sar-e-nau
ho chukī dasht-e-haqīqat kī pazīrā.ī bahut
safar-e-ḳhvāb pe honā hai ravāñ az-sar-e-nau
ātish-e-shauq bujhāte hue Dar lagtā hai
phail jaa.e na fazāoñ meñ dhuāñ az-sar-e-nau
silsila hai ye kabhī ḳhatm na hone vaalā
paḌhtā rahtā huuñ kitāb-e-dil-o-jāñ az-sar-e-nau
vo mirī baat kisī taur samajhtā hī nahīñ
sīkhnī hogī mohabbat kī zabāñ az-sar-e-nau
muddatoñ baa'd kisī yaad ne phir shorish kī
dard phir hone lagā dil meñ javāñ az-sar-e-nau
phir kisī karb se do-chār huī merī zabāñ
phir koī dāstāñ karnī hai bayāñ az-sar-e-nau
kaam kya kijiye aaghaz wahan az-sar-e-nau
az-sar-e-nau bhi na rah pae jahan az-sar-e-nau
kohna buniyaadon pe Dhote rahen KHud ko kab tak
chahiye ab ki ho ta'mir-e-makan az-sar-e-nau
ho chuki dasht-e-haqiqat ki pazirai bahut
safar-e-KHwab pe hona hai rawan az-sar-e-nau
aatish-e-shauq bujhate hue Dar lagta hai
phail jae na fazaon mein dhuan az-sar-e-nau
silsila hai ye kabhi KHatm na hone wala
paDhta rahta hun kitab-e-dil-o-jaan az-sar-e-nau
wo meri baat kisi taur samajhta hi nahin
sikhni hogi mohabbat ki zaban az-sar-e-nau
muddaton ba'd kisi yaad ne phir shorish ki
dard phir hone laga dil mein jawan az-sar-e-nau
phir kisi karb se do-chaar hui meri zaban
phir koi dastan karni hai bayan az-sar-e-nau
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.