kaam krodh se na-waqif hai sudh-budh se begana bhi
kaam krodh se nā-vāqif hai sudh-budh se begāna bhī
varna 'shāhid-shaidā.ī’ ko kaun kahe dīvāna bhī
sundar naarī apnī sundartā par kyuuñ iThlātī ho
aaj khilā jo ġhuncha hai kal ko hai use kumhlānā bhī
ham ne to begānoñ ko bhī apne paas biThāyā hai
un kī sabhā meñ jaa.ez hogā apnoñ ko Thukrānā bhī
tumre dhyān kī bansī pakḌe kab se raag alāpe hai
gopī shyām kī mīThī tāneñ aa ke zarā sun jaanā bhī
ik ghar ko do naam diye haiñ yūñhī duniyā vāloñ ne
sundartā kā rain-baserā ka.aba bhī but-ḳhāna bhī
kaam krodh se na-waqif hai sudh-budh se begana bhi
warna 'shahid-shaidai’ ko kaun kahe diwana bhi
sundar nari apni sundarta par kyun iThlati ho
aaj khila jo ghuncha hai kal ko hai use kumhlana bhi
hum ne to beganon ko bhi apne pas biThaya hai
un ki sabha mein jaez hoga apnon ko Thukrana bhi
tumre dhyan ki bansi pakDe kab se rag alape hai
gopi shyam ki miThi tanen aa ke zara sun jaana bhi
ek ghar ko do nam diye hain yunhi duniya walon ne
sundarta ka rain-basera kaba bhi but-KHana bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.