Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaam na aai kuchh bhi yaro mere raqibon ki bad-KHui

Shahid Najibabadi

kaam na aai kuchh bhi yaro mere raqibon ki bad-KHui

Shahid Najibabadi

MORE BYShahid Najibabadi

    kaam na aa.ī kuchh bhī yaaro mere raqīboñ bad-ḳhūī

    fazl-e-ḳhudā se huā ziyāda ishq mirā us ḳhush-ruī

    hañs kar dekhe to khil jā.ūñ vo muñh phere to murjhā.ūñ

    mere ehsāsāt ko us ne kar Daalā chhūī-mūī

    aap ke marham se to mere zaḳhm hue haiñ aur ziyāda

    aap Thahre chārāgar to kis ko majāl-e-chārā-jūī

    ḳhizāñ meñ bhī huuñ chāk-garebāñ rafū karūñ āḳhir maiñ kab tak

    kahāñ dāman kaisī baḳhiya bhaaḌ meñ jaa.e dhāgā suuī

    allah se hai tujh ko ulfat hūroñ se hai tujh ko raġhbat

    ye to batā zāhid sajde meñ hotī hai kaise yaksūī

    mere kahne par 'shāhid' chhup kar milne aaya thā vo

    logoñ ne ye baat zarā shahr meñ kar ruuī ruuī

    kaam na aai kuchh bhi yaro mere raqibon ki bad-KHui

    fazl-e-KHuda se hua ziyaada ishq mera us ki KHush-rui

    hans kar dekhe to khil jaun wo munh phere to murjhaun

    mere ehsasat ko us ne kar Dala chhui-mui

    aap ke marham se to mere zaKHm hue hain aur ziyaada

    aap hi Thahre chaaragar to kis ko majal-e-chaara-jui

    KHizan mein bhi hun chaak-gareban rafu karun aaKHir main kab tak

    kahan ka daman kaisi baKHiya bhaD mein jae dhaga sui

    allah se hai tujh ko ulfat huron se hai tujh ko raghbat

    ye to bata zahid sajde mein hoti hai kaise yaksui

    mere hi kahne par 'shahid' chhup kar milne aaya tha wo

    logon ne ye baat zara si shahr mein kar di rui rui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now