Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaam ye bhi naya kare koi

Shyam Vashishtha Shahid

kaam ye bhi naya kare koi

Shyam Vashishtha Shahid

MORE BYShyam Vashishtha Shahid

    kaam ye bhī nayā kare koī

    ḳhud ko ḳhud se judā kare koī

    jism qaid meñ huuñ barsoñ se

    mujh ko mujh se rihā kare koī

    dekhiye hausla charāġhoñ

    un zid hai havā kare koī

    mere kāñdhe pe rakh ke sar apnā

    merī ġhazleñ sunā kare koī

    sab hogā bhalā bhalā.ī se

    kyoñ kisī burā kare koī

    aag aag hai jise dekho

    paanī paanī huā kare koī

    aa ke mahfil meñ chuum le mujh ko

    kaash aisī ḳhatā kare koī

    chāhe patthar hoñ saare ik jaise

    kaise sab ko ḳhudā kare koī

    zaḳhm to de rahe ho dhartī ko

    kaash is davā kare koī

    chāñd tāroñ ko khojne vaalo

    aadmī pata kare koī

    saarī duniyā meñ dahshateñ bhar ke

    yā-ḳhudā yā-ḳhudā kare koī

    jurm lagtī hai sab ko ḳhāmoshī

    kuchh na bole to kyā kare koī

    mere ḳhat phaaḌ ke jalā Daalo

    mujh se ye iltijā kare koī

    kaam ye bhi naya kare koi

    KHud ko KHud se juda kare koi

    jism ki qaid mein hun barson se

    mujh ko mujh se riha kare koi

    dekhiye hausla charaghon ka

    un ki zid hai hawa kare koi

    mere kandhe pe rakh ke sar apna

    meri ghazlen suna kare koi

    sab ka hoga bhala bhalai se

    kyon kisi ka bura kare koi

    aag hi aag hai jise dekho

    pani pani hua kare koi

    aa ke mahfil mein chum le mujh ko

    kash aisi KHata kare koi

    chahe patthar hon sare ek jaise

    kaise sab ko KHuda kare koi

    zaKHm to de rahe ho dharti ko

    kash is ki dawa kare koi

    chand taron ko khojne walo

    aadmi ka pata kare koi

    sari duniya mein dahshaten bhar ke

    ya-KHuda ya-KHuda kare koi

    jurm lagti hai sab ko KHamoshi

    kuchh na bole to kya kare koi

    mere KHat phaD ke jala Dalo

    mujh se ye iltija kare koi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now