kan laga kar sunti raaten baaten karte din
kaan lagā kar suntī rāteñ bāteñ karte din
kahāñ ga.iiñ vo achchhī rāteñ bāteñ karte din
ek hī manzar shahr pe apne kab se Thahrā hai
kuchh soī kuchh jaagī rāteñ bāteñ karte din
dīvānoñ ke ḳhvāb kī sūrat an-mil aur bejoḌ
apne aap se laḌtī rāteñ bāteñ karte din
jaane kab ye mel kareñge ek-dūje ke saath
ḳhāmoshī meñ Duubī rāteñ bāteñ karte din
tanhā.ī ke ḳhauf kī dekho kyā kyā shakleñ haiñ
sannāTe meñ lipTī rāteñ bāteñ karte din
'amjad' apne saath raheñge kab tak rastoñ meñ
gahrī soch meñ uljhī rāteñ bāteñ karte din
kan laga kar sunti raaten baaten karte din
kahan gain wo achchhi raaten baaten karte din
ek hi manzar shahr pe apne kab se Thahra hai
kuchh soi kuchh jagi raaten baaten karte din
diwanon ke KHwab ki surat an-mil aur bejoD
apne aap se laDti raaten baaten karte din
jaane kab ye mel karenge ek-duje ke sath
KHamoshi mein Dubi raaten baaten karte din
tanhai ke KHauf ki dekho kya kya shaklen hain
sannaTe mein lipTi raaten baaten karte din
'amjad' apne sath rahenge kab tak raston mein
gahri soch mein uljhi raaten baaten karte din
- Book : Batain Kartay Din (Pg. 173)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Sang-e-meel Publications (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.