kan laga ke sunti kya hai
kaan lagā ke suntī kyā hai
kyā dīvār meñ dar rakkhā hai
biite kal ne dastak dī hai
yādoñ kā ik shahr milā hai
kamre kī dīvār kā girya
haañ haañ maiñ ne aap sunā hai
merī ik karvaT par jaage
niiñd kā vo kitnā kachchā hai
roTī māñgte bachche ko tū
kaise dhakke maar rahā hai
sunte haiñ ik shahzādī ne
ik darvesh kā saath chunā hai
koī sanad darkār nahīñ hai
kachchā pakkā jo likkhā hai
dhaḌkan dhaḌkan kurlātī hai
dekho mez pe dukh rakkhā hai
kan laga ke sunti kya hai
kya diwar mein dar rakkha hai
bite kal ne dastak di hai
yaadon ka ek shahr mila hai
kamre ki diwar ka girya
han han main ne aap suna hai
meri ek karwaT par jage
nind ka wo kitna kachcha hai
roTi mangte bachche ko tu
kaise dhakke mar raha hai
sunte hain ek shahzadi ne
ek darwesh ka sath chuna hai
koi sanad darkar nahin hai
kachcha pakka jo likkha hai
dhaDkan dhaDkan kurlati hai
dekho mez pe dukh rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.