kan mein aa ke koi shaKHs sada deta hai
kaan meñ aa ke koī shaḳhs sadā detā hai
ḳhauf-e-mauhūm kī shiddat ko baḌhā detā hai
chāñdnī raat meñ dīdār tire partav kā
mere farhād ko shīrīñ se milā detā hai
hijr kī raat meñ vo kaif-e-tasavvur terā
jo irādoñ meñ nayā josh jagā detā hai
baat karne kā tire rañg-birañga lahja
zindagī ko mirī rañgīn banā detā hai
merā hālāt se laḌ jaane kā jazba 'anvar'
mere kirdār kā me.ayār baḌhā detā hai
kan mein aa ke koi shaKHs sada deta hai
KHauf-e-mauhum ki shiddat ko baDha deta hai
chandni raat mein didar tere partaw ka
mere farhad ko shirin se mila deta hai
hijr ki raat mein wo kaif-e-tasawwur tera
jo iradon mein naya josh jaga deta hai
baat karne ka tere rang-biranga lahja
zindagi ko meri rangin bana deta hai
mera haalat se laD jaane ka jazba 'anwar'
mere kirdar ka meayar baDha deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.