kanch aankhon mein chubhona to nahin banta hai
kāñch āñkhoñ meñ chubhonā to nahīñ bantā hai
phir vahī ḳhvāb pironā to nahīñ bantā hai
jab ki ḳhud tū ne judā.ī ko chunā apne liye
phir ye har shab tirā ronā to nahīñ bantā hai
'ain mumkin hai tirā lams karāmat kar de
varna pītal kabhī sonā to nahīñ bantā hai
tū sadā de to na muḌ kar tujhe dekhūñ kaise
koī patthar mirā honā to nahīñ bantā hai
sirf ik terī hī marzī ke hai tābe' ye dil
sab ke hāthoñ meñ khilaunā to nahīñ bantā hai
kal kisī vaqt yahī 'ishq ke tamġhe hoñge
dil ke har daaġh kā dhonā to nahīñ bantā hai
ham ne maanā ki kahānī hai usī kī lekin
us kā har baab meñ honā to nahīñ bantā hai
kanch aankhon mein chubhona to nahin banta hai
phir wahi KHwab pirona to nahin banta hai
jab ki KHud tu ne judai ko chuna apne liye
phir ye har shab tera rona to nahin banta hai
'ain mumkin hai tera lams karamat kar de
warna pital kabhi sona to nahin banta hai
tu sada de to na muD kar tujhe dekhun kaise
koi patthar mera hona to nahin banta hai
sirf ek teri hi marzi ke hai tabe' ye dil
sab ke hathon mein khilauna to nahin banta hai
kal kisi waqt yahi 'ishq ke tamghe honge
dil ke har dagh ka dhona to nahin banta hai
hum ne mana ki kahani hai usi ki lekin
us ka har bab mein hona to nahin banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.