Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kanch ka TukDa paDa tha dasht mein

Afzal Safi

kanch ka TukDa paDa tha dasht mein

Afzal Safi

MORE BYAfzal Safi

    kāñch TukḌā paḌā thā dasht meñ

    mirā chehra paḌā thā dasht meñ

    lag rahā thā vasl tadfīn hai

    hijr yuuñ bikhrā paḌā thā dasht meñ

    us ke qadmoñ ke nishāñ mahfūz the

    yuuñ lagā rasta paḌā thā dasht meñ

    mere andar thal basā thā ishq

    so mujhe aanā paḌā thā dasht meñ

    dasht bhī saare saarā mujh meñ thā

    maiñ bhī to saarā paḌā thā dasht meñ

    ek tanhā.ī bichhī thī ret par

    aur maiñ TuuTā paḌā thā dasht meñ

    bhiiḌ meñ mujh se dilāsa gum huā

    maiñ ne jab DhūñDā paḌā thā dasht meñ

    dostī bhī shā.erī bhī ishq bhī

    merā har rishta paḌā thā dasht meñ

    partav-e-ḳhurshīd dhuñdlāne lagā

    chāñd saaya paḌā thā dasht meñ

    sirf merī kamī thī ai 'safī'

    jo bhī thā vaisā paḌā thā dasht meñ

    kanch ka TukDa paDa tha dasht mein

    ya mera chehra paDa tha dasht mein

    lag raha tha wasl ki tadfin hai

    hijr yun bikhra paDa tha dasht mein

    us ke qadmon ke nishan mahfuz the

    yun laga rasta paDa tha dasht mein

    mere andar thal basa tha ishq ka

    so mujhe aana paDa tha dasht mein

    dasht bhi sare ka sara mujh mein tha

    main bhi to sara paDa tha dasht mein

    ek tanhai bichhi thi ret par

    aur main TuTa paDa tha dasht mein

    bhiD mein mujh se dilasa gum hua

    main ne jab DhunDa paDa tha dasht mein

    dosti bhi shaeri bhi ishq bhi

    mera har rishta paDa tha dasht mein

    partaw-e-KHurshid dhundlane laga

    chand ka saya paDa tha dasht mein

    sirf meri hi kami thi ai 'safi'

    jo bhi tha waisa paDa tha dasht mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now