kanon mein chhama-chham ko dar-o-baam ne bandha
kānoñ meñ chhamā-chham ko dar-o-bām ne bāñdhā
bārish kā maza Dhaltī huī shaam ne bāñdhā
fariyād mire lab se ubalne pe tulī thī
fariyād ko phir siine meñ kohrām ne bāñdhā
maiñ apne ḳhayāloñ meñ abhī mahv-e-safar huuñ
yādoñ ke musāfir ko kahāñ shaam ne bāñdhā
ma.asūm sī sūrat liye logoñ meñ phirā huuñ
jis din se mujhe aap ke ilzām ne bāñdhā
āġhāz to dil-dāda-e-be-rāh-ravī thā
ai ishq tujhe ḳhair se anjām ne bāñdhā
is shahr ke ādāb sikhāne ke liye hī
ai ḳhvāhish-e-duniyā tujhe ehrām ne bāñdhā
uḌne ke liye merā falak kam to nahīñ thā
suntā huuñ parinde ko kisī daam ne bāñdhā
kanon mein chhama-chham ko dar-o-baam ne bandha
barish ka maza Dhalti hui sham ne bandha
fariyaad mere lab se ubalne pe tuli thi
fariyaad ko phir sine mein kohram ne bandha
main apne KHayalon mein abhi mahw-e-safar hun
yaadon ke musafir ko kahan sham ne bandha
masum si surat liye logon mein phira hun
jis din se mujhe aap ke ilzam ne bandha
aaghaz to dil-dada-e-be-rah-rawi tha
ai ishq tujhe KHair se anjam ne bandha
is shahr ke aadab sikhane ke liye hi
ai KHwahish-e-duniya tujhe ehram ne bandha
uDne ke liye mera falak kam to nahin tha
sunta hun parinde ko kisi dam ne bandha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.