kanon mein ras ghol raha hai sannaTa
kānoñ meñ ras ghol rahā hai sannāTā
shāyad kuchh kuchh bol rahā hai sannāTā
hijr kī shab ko aañk rahī hai tanhā.ī
tanhā.ī ko tol rahā hai sannāTā
koī aahaT koī sargoshī bhī nahīñ
tanhā motī rol rahā hai sannāTā
din-bhar ke hangāmoñ kī ik ik tah ko
baiThā baiThā khol rahā hai sannāTā
āvāzoñ ko patā hai apnī manzil kā
ab tak Dāñvāñ-Dol rahā hai sannāTā
bijlī chamkī kaan meñ kaḌkā aa.egā
Dar ke maare Dol rahā hai sannāTā
dastak to dī ga.ī thī shor-sharābe ko
darvāza kyoñ khol rahā hai sannāTā
raat kā pichhlā pahar bhī hai do paikar bhī
aise meñ anmol rahā hai sannāTā
āñdhī meñ peḌoñ kī añgḌā.ī 'shādāb'
jaise badan ko jhol rahā hai sannāTā
kanon mein ras ghol raha hai sannaTa
shayad kuchh kuchh bol raha hai sannaTa
hijr ki shab ko aank rahi hai tanhai
tanhai ko tol raha hai sannaTa
koi aahaT koi sargoshi bhi nahin
tanha moti rol raha hai sannaTa
din-bhar ke hangamon ki ek ek tah ko
baiTha baiTha khol raha hai sannaTa
aawazon ko pata hai apni manzil ka
ab tak Danwan-Dol raha hai sannaTa
bijli chamki kan mein kaDka aaega
Dar ke mare Dol raha hai sannaTa
dastak to di gai thi shor-sharabe ko
darwaza kyon khol raha hai sannaTa
raat ka pichhla pahar bhi hai do paikar bhi
aise mein anmol raha hai sannaTa
aandhi mein peDon ki angDai 'shadab'
jaise badan ko jhol raha hai sannaTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.