kanpte honTon se jab bhi wo dua karta hai
kāñpte hoñToñ se jab bhī vo duā kartā hai
lafz-e-āmīn har ik zarra kahā kartā hai
har sitāre meñ charāġhāñ kā samāñ hai jaise
kaun ḳhvāboñ ke jazīroñ meñ rahā kartā hai
kitne afsāne sunā detī hai vo ek nazar
dil to ma.asūm hai chup-chāp sunā kartā hai
tum ye batlāo shab-o-roz guzāre kaise
hijr meñ chāñd to āvāra phirā kartā hai
ham ko mālūm hai guzre hue mausam kā pata
terī yādoñ ke ḳhayābāñ meñ rahā kartā hai
shaam aatī hai jalātī huī tāroñ ke charāġh
aur usī vaqt diyā dil kā bujhā kartā hai
dil kī dīvār meñ dukh kā koī rauzan hī nahīñ
pattharoñ kī tarah insān jiyā kartā hai
dil ke jazbāt dabā.e nahīñ dabte 'zahrā'
chaḌhtā dariyā kahīñ roke se rukā kartā hai
kanpte honTon se jab bhi wo dua karta hai
lafz-e-amin har ek zarra kaha karta hai
har sitare mein charaghan ka saman hai jaise
kaun KHwabon ke jaziron mein raha karta hai
kitne afsane suna deti hai wo ek nazar
dil to masum hai chup-chap suna karta hai
tum ye batlao shab-o-roz guzare kaise
hijr mein chand to aawara phira karta hai
hum ko malum hai guzre hue mausam ka pata
teri yaadon ke KHayaban mein raha karta hai
sham aati hai jalati hui taron ke charagh
aur usi waqt diya dil ka bujha karta hai
dil ki diwar mein dukh ka koi rauzan hi nahin
pattharon ki tarah insan jiya karta hai
dil ke jazbaat dabae nahin dabte 'zahra'
chaDhta dariya kahin roke se ruka karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.