kanTa tha chashm-e-yas mein ek ek rang-e-gul
kāñTā thā chashm-e-yās meñ ek ek rang-e-gul
mere liye chaman bhī bayābāñ nikal gayā
dast-e-junūñ kā zof se uThnā muhāl thā
kyā jaane kis tarah se garebāñ nikal gayā
dil meñ to aag hī vahī ab tak lagī huī
maanā ki chashm-e-shauq kā armāñ nikal gayā
josh-e-junūñ se kuchh na chalī zabt-e-ishq kī
sau sau jagah se aaj garebāñ nikal gayā
kanTa tha chashm-e-yas mein ek ek rang-e-gul
mere liye chaman bhi bayaban nikal gaya
dast-e-junun ka zof se uThna muhaal tha
kya jaane kis tarah se gareban nikal gaya
dil mein to aag hi wahi ab tak lagi hui
mana ki chashm-e-shauq ka arman nikal gaya
josh-e-junun se kuchh na chali zabt-e-ishq ki
sau sau jagah se aaj gareban nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.