kanTe chubhte hain chubhen panw mein chalte jaen
kāñTe chubhte haiñ chubheñ paañv meñ chalte jaa.eñ
raakh banñe se to behtar hai ki jalte jaa.eñ
tab.a raushan rahe aisī hī farozāñ apnī
aur ham sham.a kī mānind pighalte jaa.eñ
jinheñ rakkhā na lagāvaT ke bhī zumre meñ kabhī
rafta rafta unhīñ bātoñ se bahalte jaa.eñ
de nayā ġham ki hameñ phir se sañbhāle aa kar
sehr se tere bhī ab ham to nikalte jaa.eñ
ḳhvāhisheñ saath hī chaltī haiñ jidhar bhī jaa.eñ
ham kahāñ tak inheñ qadmoñ se masalte jaa.eñ
kanTe chubhte hain chubhen panw mein chalte jaen
rakh banne se to behtar hai ki jalte jaen
taba raushan rahe aisi hi farozan apni
aur hum shama ki manind pighalte jaen
jinhen rakkha na lagawaT ke bhi zumre mein kabhi
rafta rafta unhin baaton se bahalte jaen
de naya gham ki hamein phir se sanbhaale aa kar
sehr se tere bhi ab hum to nikalte jaen
KHwahishen sath hi chalti hain jidhar bhi jaen
hum kahan tak inhen qadmon se masalte jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.