kanTe ko phul sang ko gauhar kaha gaya
kāñTe ko phuul sañg ko gauhar kahā gayā
is shahr meñ gadā ko sikandar kahā gayā
be-chehra log husn kā me'yār ban ga.e
parchhā.iyoñ ko nuur kā paikar kahā gayā
jallād ko masīhā-nafas kī sanad milī
insān-dushmanoñ ko payambar kahā gayā
kuchh jis ke paas nīsh-o-namak ke sivā na thā
chāk-e-jigar kā us ko rafū-gar kahā gayā
kyā shai hai maslahat bhī shab-e-tīra-fām ko
dānishvaroñ meñ sub.h-e-munavvar kahā gayā
gūñgā hai kar rahā hai ishāroñ meñ bāt-chīt
'sābir' ko kis binā pe suḳhanvar kahā gayā
kanTe ko phul sang ko gauhar kaha gaya
is shahr mein gada ko sikandar kaha gaya
be-chehra log husn ka me'yar ban gae
parchhaiyon ko nur ka paikar kaha gaya
jallad ko masiha-nafas ki sanad mili
insan-dushmanon ko payambar kaha gaya
kuchh jis ke pas nish-o-namak ke siwa na tha
chaak-e-jigar ka us ko rafu-gar kaha gaya
kya shai hai maslahat bhi shab-e-tira-fam ko
danishwaron mein subh-e-munawwar kaha gaya
gunga hai kar raha hai ishaaron mein baat-chit
'sabir' ko kis bina pe suKHanwar kaha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.