kanTe ruswai ke haTa dena
kāñTe rusvā.ī ke haTā denā
phir hameñ pyaar se sazā denā
ḳhud ko dekhā nahīñ ka.ī din se
haath meñ us ke aa.ina denā
ho sake to hamāre naam kā bhī
ik diyā taaq meñ jalā denā
ye mohabbat nahīñ to phir kyā hai
dekh kar mujh ko muskurā denā
vo mohabbat pe merī shak na kare
us ko 'ashraf' ye mashvara denā
kanTe ruswai ke haTa dena
phir hamein pyar se saza dena
KHud ko dekha nahin kai din se
hath mein us ke aaina dena
ho sake to hamare nam ka bhi
ek diya taq mein jala dena
ye mohabbat nahin to phir kya hai
dekh kar mujh ko muskura dena
wo mohabbat pe meri shak na kare
us ko 'ashraf' ye mashwara dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.