kanTon jaisi tabiren thi phulon jaise KHwab
kāñToñ jaisī ta.abīreñ thī phūloñ jaise ḳhvāb
ham ne chhoTī umroñ meñ bhī kyā kyā dekhe ḳhvāb
mujh ko is malbūs meñ dekh ke ḳhush the saare log
aur kisī ne ye nahīñ pūchhā laḌkī tere ḳhvāb
ek jagah par sone vaale bhī kab yakjā the
apnī apnī nīndeñ thiiñ aur apne apne ḳhvāb
maiñ huuñ ab is bastī kī ta.abīroñ par māmūr
log sunāne aa jaate haiñ ulTe-sīdhe ḳhvāb
ek sukūt thā tārīkī thī vaqt kī Thahrī saañs
miTTī ne bārish dekhī thī peḌ ne dekhe ḳhvāb
kanTon jaisi tabiren thi phulon jaise KHwab
hum ne chhoTi umron mein bhi kya kya dekhe KHwab
mujh ko is malbus mein dekh ke KHush the sare log
aur kisi ne ye nahin puchha laDki tere KHwab
ek jagah par sone wale bhi kab yakja the
apni apni ninden thin aur apne apne KHwab
main hun ab is basti ki tabiron par mamur
log sunane aa jate hain ulTe-sidhe KHwab
ek sukut tha tariki thi waqt ki Thahri sans
miTTi ne barish dekhi thi peD ne dekhe KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.