kanTon mein phul kaise khila humse puchhiye
kāñToñ meñ phuul kaise khilā ham se pūchhiye
kyā hai maqām-e-sabr-o-razā ham se pūchhiye
nigarāñ hai jo furāt ke vo kyā batā.eñge
haañ tishnagī-e-karb-o-balā ham se pūchhiye
ye rāhbar haiñ jitne rivāyat-pasand haiñ
be-nām manziloñ kā pata ham se pūchhiye
har ek inqilāb kī zad par hamīñ rahe
har imtihāñ hamīñ ne diyā ham se pūchhiye
maazī kī baat aur thī 'mumtāz' aaj bhī
ḳhud-sāḳhta haiñ kitne ḳhudā ham se pūchhiye
kanTon mein phul kaise khila hum se puchhiye
kya hai maqam-e-sabr-o-raza hum se puchhiye
nigaran hai jo furaat ke wo kya bataenge
han tishnagi-e-karb-o-bala hum se puchhiye
ye rahbar hain jitne riwayat-pasand hain
be-nam manzilon ka pata hum se puchhiye
har ek inqilab ki zad par hamin rahe
har imtihan hamin ne diya hum se puchhiye
mazi ki baat aur thi 'mumtaz' aaj bhi
KHud-saKHta hain kitne KHuda hum se puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.