kanTon se bhare ban mein raste ki bina Dali
kāñToñ se bhare ban meñ raste kī binā Daalī
de de ke lahū tarh-e-naqsh-e-kaf-e-pā Daalī
badle meñ dafīne ke qatre haiñ pasīne ke
kyoñ dil kī gavāhī par dīvār girā Daalī
phir aaj fazāoñ ko matlūb hai ḳhūñ-rezī
bādal kī zirah pahnī shamshīr-e-sabā Daalī
do harf tasallī ke jis ne bhī kahe us ko
afsāna sunā Daalā tasvīr dikhā Daalī
duniyā rahī ḳhvābīda 'ḳhurshīd' ne shab-bhar meñ
pachchhim se shafaq lā kar pūrab meñ bichhā Daalī
kanTon se bhare ban mein raste ki bina Dali
de de ke lahu tarh-e-naqsh-e-kaf-e-pa Dali
badle mein dafine ke qatre hain pasine ke
kyon dil ki gawahi par diwar gira Dali
phir aaj fazaon ko matlub hai KHun-rezi
baadal ki zirah pahni shamshir-e-saba Dali
do harf tasalli ke jis ne bhi kahe us ko
afsana suna Dala taswir dikha Dali
duniya rahi KHwabida 'KHurshid' ne shab-bhar mein
pachchhim se shafaq la kar purab mein bichha Dali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.