kar-e-hasti Khaar-o-gul ke darmiyan banta gaya
kar-e-hasti Khaar-o-gul ke darmiyan banta gaya
Noorul Huda Noor Zabihi Banarsi
MORE BYNoorul Huda Noor Zabihi Banarsi
kār-e-hastī ḳhār-o-gul ke darmiyāñ bantā gayā
bijliyāñ girtī ga.iiñ aur āshiyāñ bantā gayā
ashk-e-ḳhūñ bahne kā chehre par nishāñ bantā gayā
maiñ mujassam dard-o-ġham kī dāstāñ bantā gayā
āh-o-giryā nā-munāsib zabt fitrat ke ḳhilāf
dard mere vāste ik imtihāñ bantā gayā
har qadam ubhrā kiye naqsh-e-kaf-e-pā-e-jamāl
gul pe gul khilte ga.e aur gulsitāñ bantā gayā
vaqt ne gulchīñ ke hāthoñ qismat-e-gul sauñp dī
ya.anī har bāġhī chaman kā bāġhbāñ bantā gayā
sach to ye hai inqilābāt-e-zamāna ke tufail
ek ek rahzan amīr-e-kārvāñ bantā gayā
sab mujhe kahte haiñ ḳhosha-chīn-e-gulzār-e-'zabīh'
'nūr' unhīñ ke faiz se rangīñ-bayāñ bantā gayā
kar-e-hasti KHar-o-gul ke darmiyan banta gaya
bijliyan girti gain aur aashiyan banta gaya
ashk-e-KHun bahne ka chehre par nishan banta gaya
main mujassam dard-o-gham ki dastan banta gaya
aah-o-girya na-munasib zabt fitrat ke KHilaf
dard mere waste ek imtihan banta gaya
har qadam ubhra kiye naqsh-e-kaf-e-pa-e-jamal
gul pe gul khilte gae aur gulsitan banta gaya
waqt ne gulchin ke hathon qismat-e-gul saunp di
yani har baghi chaman ka baghban banta gaya
sach to ye hai inqilabaat-e-zamana ke tufail
ek ek rahzan amir-e-karwan banta gaya
sab mujhe kahte hain KHosha-chin-e-gulzar-e-'zabih'
'nur' unhin ke faiz se rangin-bayan banta gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.