Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar-e-hunar sanwarne walon mein aaega

Anjum Khaleeq

kar-e-hunar sanwarne walon mein aaega

Anjum Khaleeq

MORE BYAnjum Khaleeq

    kār-e-hunar sañvārne vāloñ meñ aa.egā

    jab bhī hamārā naam havāloñ meñ aa.egā

    Tīloñ ko saath le ke jo uḌtī rahī havā

    sahrā rañg barf ke gāloñ meñ aa.egā

    jab āftāb-e-umr Dhalne lagegī dhuup

    tab raushnī fan mire bāloñ meñ aa.egā

    kaisā firāq kaisī judā.ī kahāñ hijr

    vo jā.egā agar to ḳhayāloñ meñ aa.egā

    insāñ se pyaar husn-parastī vatan se ishq

    ham ne kiyā hai yuuñ ki misāloñ meñ aa.egā

    'anjum'-ḳhalīq ik na.e anjum ko dekhnā

    jis din vo āgahī ke ujāloñ meñ aa.egā

    kar-e-hunar sanwarne walon mein aaega

    jab bhi hamara nam hawalon mein aaega

    Tilon ko sath le ke jo uDti rahi hawa

    sahra ka rang barf ke galon mein aaega

    jab aaftab-e-umr ki Dhalne lagegi dhup

    tab raushni ka fan mere baalon mein aaega

    kaisa firaq kaisi judai kahan ka hijr

    wo jaega agar to KHayalon mein aaega

    insan se pyar husn-parasti watan se ishq

    hum ne kiya hai yun ki misalon mein aaega

    'anjum'-KHaliq ek nae anjum ko dekhna

    jis din wo aagahi ke ujalon mein aaega

    Source :
    • Book : Samundar Men Utarta Hon (Pg. 83)
    • Author : Anjum Khaliq
    • Publication : Khaleeq Publication (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now