kar-e-junun ki haalaten, kar-e-KHuda KHayal kar
kār-e-junūñ kī hālateñ, kār-e-ḳhudā ḳhayāl kar
ishq kā maiñ javāb huuñ, aur koī savāl kar
itnā to maan rakh mirā, hijr kā dard chakh zarā
mujh ko tirā malāl hai, tū bhī mirā malāl kar
vaqt ke inhidām meñ, dil kī kitāb dab ga.ī
jaane kahāñ likhā thā tuu, sochtā huuñ nikāl kar
ḳhvāb meñ ḳhvāb gholnā, mahñgā paḌā hai dosto
ḳhvāb tamām ho gayā, āñkheñ mirī nikāl kar
lauh-o-qalam ke farz par, merā ye ishq qarz hai
us ne to merī ḳhaak bhii, rakhī nahīñ sambhāl kar
kar-e-junun ki haalaten, kar-e-KHuda KHayal kar
ishq ka main jawab hun, aur koi sawal kar
itna to man rakh mira, hijr ka dard chakh zara
mujh ko tera malal hai, tu bhi mera malal kar
waqt ke inhidam mein, dil ki kitab dab gai
jaane kahan likha tha tu, sochta hun nikal kar
KHwab mein KHwab gholna, mahnga paDa hai dosto
KHwab tamam ho gaya, aankhen meri nikal kar
lauh-o-qalam ke farz par, mera ye ishq qarz hai
us ne to meri KHak bhi, rakhi nahin sambhaal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.