kar-e-KHair itna to ai laghzish-e-pa ho jata
kār-e-ḳhair itnā to ai laġhzish-e-pā ho jaatā
paa.e saaqī pe hī ik sajda adā ho jaatā
vo to ye kahiye ki majbūr hai nazm-e-hastī
varna har banda-e-maġhrūr ḳhudā ho jaatā
qāfile vaale the mahrūm-e-basīrat varna
merā har naqsh-e-qadam rāh-numā ho jaatā
ġham ke māroñ pe bhī ai dāvar-e-hashr ek nazar
aaj to faisla-e-ahl-e-vafā ho jaatā
yuuñ añdheroñ meñ bhaTakte na kabhī ahl-e-ḳhirad
koī dīvāna agar rāh-numā ho jaatā
dil tirī nīm-nigāhī kā to mamnūn sahī
dard abhī kam hai zarā aur sivā ho jaatā
lazzat-e-ġham se hai zid fitrat-e-ġham ko shāyad
dard hī dard na kyuuñ dard davā ho jaatā
sun ke bhar aatā agar un kā bhī dil ai 'e'jāz'
qissa-e-dard kā 'unvān nayā ho jaatā
kar-e-KHair itna to ai laghzish-e-pa ho jata
pae saqi pe hi ek sajda ada ho jata
wo to ye kahiye ki majbur hai nazm-e-hasti
warna har banda-e-maghrur KHuda ho jata
qafile wale the mahrum-e-basirat warna
mera har naqsh-e-qadam rah-numa ho jata
gham ke maron pe bhi ai dawar-e-hashr ek nazar
aaj to faisla-e-ahl-e-wafa ho jata
yun andheron mein bhaTakte na kabhi ahl-e-KHirad
koi diwana agar rah-numa ho jata
dil teri nim-nigahi ka to mamnun sahi
dard abhi kam hai zara aur siwa ho jata
lazzat-e-gham se hai zid fitrat-e-gham ko shayad
dard hi dard na kyun dard dawa ho jata
sun ke bhar aata agar un ka bhi dil ai 'e'jaz'
qissa-e-dard ka 'unwan naya ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.