kar-e-KHulus-e-yar ka mujhko yaqin aa gaya
kār-e-ḳhulūs-e-yār kā mujh ko yaqīn aa gayā
itnā shadīd vaar thā mujh ko yaqīn aa gayā
bas yūñhī kuchh gumāñ sā thā koī pas-e-suḳhan bhī hai
dard jo lab-kushā huā mujh ko yaqīn aa gayā
phir vo havā kā qahqaha kaan meñ gūñjne lagā
aur bhī ik diyā bujhā mujh ko yaqīn aa gayā
dā.era-vār thā safar ishq-e-junūñ-sifāt kā
hijr-o-visāl kuchh na thā mujh ko yaqīn aa gayā
ab mirā dard bujh gayā ab mirā zaḳhm bhar chalā
phir vahī dost aa.egā mujh ko yaqīn aa gayā
kar-e-KHulus-e-yar ka mujh ko yaqin aa gaya
itna shadid war tha mujh ko yaqin aa gaya
bas yunhi kuchh guman sa tha koi pas-e-suKHan bhi hai
dard jo lab-kusha hua mujh ko yaqin aa gaya
phir wo hawa ka qahqaha kan mein gunjne laga
aur bhi ek diya bujha mujh ko yaqin aa gaya
daera-war tha safar ishq-e-junun-sifat ka
hijr-o-visal kuchh na tha mujh ko yaqin aa gaya
ab mera dard bujh gaya ab mera zaKHm bhar chala
phir wahi dost aaega mujh ko yaqin aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.