kar-gar ishq mein ab tak gham-e-pinhan na hua
Interesting Fact
سن 1921 میں یہ غزل لکھی گئی ۔ فراق گورکھپوری ایک بار جیل بھی گئے تھے، تو وہاں دوسرے مجاہدین آزادی بھی تھے ۔ ایک رات انھیں آزادی کے متوالوں کے درمیان جیل میں ایک محفل سجائی گئی، وہیں فراق نے یہ غزل بھی سنائی ۔
kār-gar ishq meñ ab tak ġham-e-pinhāñ na huā
maiñ abhī be-ḳhabar-e-kulfat-e-hijrāñ na huā
māna-e-dasht-navardī mujhe zindāñ na huā
dar-o-dīvār se kuchh hosh kā sāmāñ na huā
baaġh meñ bād-e-sabā bhejne vaale har sub.h
ham asīrān-e-qafas par kabhī ehsāñ na huā
nigah-e-nāz hai aur ahl-e-havas ke dil meñ
haa.e vo tiir jo paivast-e-rag-e-jāñ na huā
dasht-e-ġhurbat meñ pareshāñ nahīñ dil tang nahīñ
abhī dīvāna tirā qābil-e-zindāñ na huā
ham ne dekhā hai vo andāz-e-junūñ bhī jo kabhī
chāk-dil chāk-jigar chāk-garebāñ na huā
rang ko hasrat-e-parvāz abhī baaqī hai
ālam-e-nik.hat-exbarbād-e-gulistāñ na huā
daar se uThtā hai ik na.ara-e-mastāna hanūz
haa.e vo dard jo sharminda-e-darmāñ na huā
haañ bujhā de dil-e-sozāñ ko magar tū jaane
bazm-e-hastī meñ jo ye soḳhta-sāmāñ na huā
ḳhūbiyāñ tujh meñ haiñ ai ishq zamāne bhar kī
ye to kuchh da.avā-e-hamtā.ī-e-ḳhūbāñ na huā
husn-e-gulzār se dil chaak huā jaatā hai
josh-e-gul chārāgar-e-tangī-e-dāmāñ na huā
sarhadeñ jalva-gah-e-nāz se jis kī na mileñ
vo to ik khel huā chāk-e-garebāñ na huā
kahtī hai vasl kī shab vo nigah-e-ḳhvāb-ālūd
ḳhatm abhī qissa-e-betābi-e-hijrāñ na huā
aaj tak sub.h-e-azal se vahī sannāTā hai
ishq kā ghar kabhī sharminda-e-mehmāñ na huā
zindagī kyā vo tire ġham se jo dil-tang nahīñ
kyā vo shīrāza-e-hastī jo pareshāñ na huā
ahl-e-zindāñ kā ye majma.a hai subūt is kā 'firāq'
ki bikhar kar bhī ye shīrāza pareshāñ na huā
kar-gar ishq mein ab tak gham-e-pinhan na hua
main abhi be-KHabar-e-kulfat-e-hijran na hua
mana-e-dasht-nawardi mujhe zindan na hua
dar-o-diwar se kuchh hosh ka saman na hua
bagh mein baad-e-saba bhejne wale har subh
hum asiran-e-qafas par kabhi ehsan na hua
nigah-e-naz hai aur ahl-e-hawas ke dil mein
hae wo tir jo paiwast-e-rag-e-jaan na hua
dasht-e-ghurbat mein pareshan nahin dil tang nahin
abhi diwana tera qabil-e-zindan na hua
hum ne dekha hai wo andaz-e-junun bhi jo kabhi
chaak-dil chaak-jigar chaak-gareban na hua
rang ko hasrat-e-parwaz abhi baqi hai
aalam-e-nikhat-exbarbaad-e-gulistan na hua
dar se uThta hai ek nara-e-mastana hanuz
hae wo dard jo sharminda-e-darman na hua
han bujha de dil-e-sozan ko magar tu jaane
bazm-e-hasti mein jo ye soKHta-saman na hua
KHubiyan tujh mein hain ai ishq zamane bhar ki
ye to kuchh dawa-e-hamtai-e-KHuban na hua
husn-e-gulzar se dil chaak hua jata hai
josh-e-gul chaaragar-e-tangi-e-daman na hua
sarhaden jalwa-gah-e-naz se jis ki na milen
wo to ek khel hua chaak-e-gareban na hua
kahti hai wasl ki shab wo nigah-e-KHwab-alud
KHatm abhi qissa-e-betabi-e-hijran na hua
aaj tak subh-e-azal se wahi sannaTa hai
ishq ka ghar kabhi sharminda-e-mehman na hua
zindagi kya wo tere gham se jo dil-tang nahin
kya wo shiraaza-e-hasti jo pareshan na hua
ahl-e-zindan ka ye majma hai subut is ka 'firaq'
ki bikhar kar bhi ye shiraaza pareshan na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.