karobar-e-ziyan salamat hai
kārobār-e-ziyāñ salāmat hai
yā'nī ab tak dukāñ salāmat hai
na fasīleñ na ḳhandaqeñ mahfūz
narġha-e-dushmanāñ salāmat hai
vahshateñ ḳhema-zan haiñ shahroñ meñ
maskan-e-vahshiyāñ salāmat hai
aur to kuchh bachā nahīñ baaqī
sail-e-āb-e-ravāñ salāmat hai
arshiyāñ nūriyāñ tamāshā.ī
raunaq-e-ḳhāk-dāñ salāmat hai
sochtā huuñ ki kyā mire hāthoñ
saḳht hairāñ huuñ jaañ salāmat hai
karobar-e-ziyan salamat hai
ya'ni ab tak dukan salamat hai
na fasilen na KHandaqen mahfuz
nargha-e-dushmanan salamat hai
wahshaten KHema-zan hain shahron mein
maskan-e-wahshiyan salamat hai
aur to kuchh bacha nahin baqi
sail-e-ab-e-rawan salamat hai
arshiyan nuriyan tamashai
raunaq-e-KHak-dan salamat hai
sochta hun ki kya mere hathon
saKHt hairan hun jaan salamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.