karwan aate hain aur aa ke chale jate hain
kārvāñ aate haiñ aur aa ke chale jaate haiñ
ek ham haiñ ki usī samt take jaate haiñ
din guzarte haiñ mah-o-sāl guzar jaate haiñ
vaqt ke paañv bhī chal chal ke thake jaate haiñ
jaane āvāz-e-jaras hai ki sadā-e-sahrā
ek āvāz sī sunte haiñ sune jaate haiñ
ġham ne karvaT kabhī badlī thī magar aaj talak
dil ke āġhosh meñ kāñTe se chubhe jaate haiñ
karwan aate hain aur aa ke chale jate hain
ek hum hain ki usi samt take jate hain
din guzarte hain mah-o-sal guzar jate hain
waqt ke panw bhi chal chal ke thake jate hain
jaane aawaz-e-jaras hai ki sada-e-sahra
ek aawaz si sunte hain sune jate hain
gham ne karwaT kabhi badli thi magar aaj talak
dil ke aaghosh mein kanTe se chubhe jate hain
- Book : Awaz Na Do (Pg. 45)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.