karwan der se tayyar hai jaane ke liye
kārvāñ der se tayyār hai jaane ke liye
ham hī baiThe haiñ koī sog manāne ke liye
ye to ab ḳhatm huī yaad hī karte karte
dūsrī 'umr mile tujh ko bhulāne ke liye
jis ne zulmat meñ hameñ chhoḌ diyā thā tanhā
aa gayā sham' vo turbat pe jalāne ke liye
biich mahfil meñ tamāsha mujhe karnā hī paḌā
us ko paimān-e-vafā yaad dilāne ke liye
kahkashāñ phuul dhanak sab haiñ magar duniyā meñ
rang kam haiñ tirī tasvīr sajāne ke liye
'ishq meñ apne unheñ dāva-e-vahsaht bhī hai
aur baiThe haiñ garebān silāne ke liye
raaz kuchh bhī nahīñ hai ġhair ki bātoñ meñ na aa
sab bahāne haiñ tujhe paas biThāne ke liye
kyā tirā hogā zamāna ye huā hai kis kā
tū ne kyoñ chhoḌ diyā mujh ko zamāna ke liye
is qadar ruuh meñ shāmil thī kahānī us kī
mujh ko miTnā hī paḌā us ko miTāne ke liye
vā-e-qismat ke use ab hai vafā kī hasrat
jab marāsim hī nahīñ koī nibhāne ke liye
kunj-e-zindān meñ phir nik.hat-e-gul phail ga.ī
phir bahār aa ga.ī bulbul ko rulāne ke liye
ḳhvāb bhī aañkh meñ bedār hue jaate haiñ
kaun aayā hai mujhe shaam sulāne ke liye
karwan der se tayyar hai jaane ke liye
hum hi baiThe hain koi sog manane ke liye
ye to ab KHatm hui yaad hi karte karte
dusri 'umr mile tujh ko bhulane ke liye
jis ne zulmat mein hamein chhoD diya tha tanha
aa gaya sham' wo turbat pe jalane ke liye
bich mahfil mein tamasha mujhe karna hi paDa
us ko paiman-e-wafa yaad dilane ke liye
kahkashan phul dhanak sab hain magar duniya mein
rang kam hain teri taswir sajaane ke liye
'ishq mein apne unhen dawa-e-wahsaht bhi hai
aur baiThe hain gareban silane ke liye
raaz kuchh bhi nahin hai ghair ki baaton mein na aa
sab bahane hain tujhe pas biThane ke liye
kya tera hoga zamana ye hua hai kis ka
tu ne kyon chhoD diya mujh ko zamana ke liye
is qadar ruh mein shamil thi kahani us ki
mujh ko miTna hi paDa us ko miTane ke liye
wa-e-qismat ke use ab hai wafa ki hasrat
jab marasim hi nahin koi nibhane ke liye
kunj-e-zindan mein phir nikhat-e-gul phail gai
phir bahaar aa gai bulbul ko rulane ke liye
KHwab bhi aankh mein bedar hue jate hain
kaun aaya hai mujhe sham sulane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.