karwan sust-musafir ko saza deta hai
kārvāñ sust-musāfir ko sazā detā hai
zard patte ko har ik peḌ girā detā hai
apnī āñkhoñ ko vo be-vaj.h sazā detā hai
giile īñdhan ko agar koī havā detā hai
ab mire bas meñ kahāñ hai ki maiñ vāpas aa.uuñ
merā maazī mujhe bekār sadā detā hai
kis liye tū ne bujhā Daale sulagte sapne
kis liye ab inheñ rah rah ke havā detā hai
zindagī ham ne banā.ī hai 'amal se lekin
ham bhī kahte haiñ ye hī sab ko ḳhudā detā hai
ek bahtā huā tinkā bhī aham hai 'zarrīñ'
apnī raftār se dariyā kā patā detā hai
karwan sust-musafir ko saza deta hai
zard patte ko har ek peD gira deta hai
apni aankhon ko wo be-wajh saza deta hai
gile indhan ko agar koi hawa deta hai
ab mere bas mein kahan hai ki main wapas aaun
mera mazi mujhe bekar sada deta hai
kis liye tu ne bujha Dale sulagte sapne
kis liye ab inhen rah rah ke hawa deta hai
zindagi hum ne banai hai 'amal se lekin
hum bhi kahte hain ye hi sab ko KHuda deta hai
ek bahta hua tinka bhi aham hai 'zarrin'
apni raftar se dariya ka pata deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.