karwan tira-shab mein chalte hain
kārvāñ tīra-shab meñ chalte haiñ
āñdhiyoñ meñ charāġh jalte haiñ
laakh zindāñ hoñ laakh dār-o-rasan
ab irāde kahīñ badalte haiñ
kis adā se sahar ke dīvāne
surḳh parcham liye nikalte haiñ
rok saktā hai kyā unheñ sayyād
jo qafas toḌ kar nikalte haiñ
kitnī sadiyoñ se zehn-e-insāñ meñ
rañg-o-nik.hat ke ḳhvāb palte haiñ
karwan tira-shab mein chalte hain
aandhiyon mein charagh jalte hain
lakh zindan hon lakh dar-o-rasan
ab irade kahin badalte hain
kis ada se sahar ke diwane
surKH parcham liye nikalte hain
rok sakta hai kya unhen sayyaad
jo qafas toD kar nikalte hain
kitni sadiyon se zehn-e-insan mein
rang-o-nikhat ke KHwab palte hain
- Book : Taqdeer-e-hina (Pg. 27)
- Author : Arshi Bhopali
- Publication : Hind Offset Printers, Bhopal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.