kasa-e-fikr mein rakhta hun main daulat apni
kāsa-e-fikr meñ rakhtā huuñ maiñ daulat apnī
muflisī meñ bhī badaltī nahīñ aadat apnī
mujh ko is talḳh-navā.ī ne kiyā hai rusvā
apnī nazroñ meñ ba-har-hāl hai izzat apnī
hai mire shahr meñ kitne hī shikārī chehre
apnī sūrat meñ jo rakhte nahīñ sūrat apnī
merā aḳhlāq hī aisā hai ki mere sar par
jis ko dekho vahī rakhtā hai musībat apnī
kasa-e-fikr mein rakhta hun main daulat apni
muflisi mein bhi badalti nahin aadat apni
mujh ko is talKH-nawai ne kiya hai ruswa
apni nazron mein ba-har-haal hai izzat apni
hai mere shahr mein kitne hi shikari chehre
apni surat mein jo rakhte nahin surat apni
mera aKHlaq hi aisa hai ki mere sar par
jis ko dekho wahi rakhta hai musibat apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.