kase mein apne chand sitare liye hue
kaase meñ apne chāñd sitāre liye hue
darvesh chal rahā hai ḳhasāre liye hue
kis intizār meñ hai ḳhudā jaane aa.ina
qabze meñ nain-naqsh hamāre liye hue
gaaḌī ke nīche aa gayā ik baap kā ġhurūr
bachchoñ ke man-pasand ġhubāre liye hue
lahreñ palaT rahī haiñ use chhū ke ḳhvāb meñ
dariyā simaT rahā hai kināre liye hue
ham bhī guzar rahe haiñ tumhāre firāq se
āñkhoñ meñ āñsuoñ ke sharāre liye hue
sāda-mizāj log samajhte nahīñ magar
vo aañkh hai hazār ishāre liye hue
dil dab rahā hai bār-e-mohabbat meñ āj-kal
'zahrāb' ḳhvāhishoñ ke sahāre liye hue
kase mein apne chand sitare liye hue
darwesh chal raha hai KHasare liye hue
kis intizar mein hai KHuda jaane aaina
qabze mein nain-naqsh hamare liye hue
gaDi ke niche aa gaya ek bap ka ghurur
bachchon ke man-pasand ghubare liye hue
lahren palaT rahi hain use chhu ke KHwab mein
dariya simaT raha hai kinare liye hue
hum bhi guzar rahe hain tumhaare firaq se
aankhon mein aansuon ke sharare liye hue
sada-mizaj log samajhte nahin magar
wo aankh hai hazar ishaare liye hue
dil dab raha hai bar-e-mohabbat mein aaj-kal
'zahrab' KHwahishon ke sahaare liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.