kash abr kare chadar-e-mahtab ki chori
kaash abr kare chādar-e-mahtāb kī chorī
tā mujh se bhī ho jām-e-mai-e-nāb kī chorī
Tuk takiya pe sar dhar ke rahā so to lagā.ī
sāhab ne hameñ masnad-e-kam-ḳhvāb kī chorī
sīmāb ke aañsū vo sadā ro.e ilāhī
kī jis ne ho mere dil-e-betāb kī chorī
vo ishq ki sach ā.ankhoñ se kājal ko churā le
kis tarah na āshiq ke kare ḳhvāb kī chorī
mujh ko sar-e-bāzār ghisaTvā ke nikālā
kī us ne hī kuchh ḳhāna-e-navvāb kī chorī
jis ne ki mire chehre se aab aah uḌā le
sābit huī us par dur-e-nāyāb kī chorī
shab sendh jo dī daaġh kī ek chor ne 'inshā'
to ho ga.ī sab sabr ke asbāb kī chorī
kash abr kare chadar-e-mahtab ki chori
ta mujh se bhi ho jam-e-mai-e-nab ki chori
Tuk takiya pe sar dhar ke raha so to lagai
sahab ne hamein masnad-e-kam-KHwab ki chori
simab ke aansu wo sada roe ilahi
ki jis ne ho mere dil-e-betab ki chori
wo ishq ki sach aaankhon se kajal ko chura le
kis tarah na aashiq ke kare KHwab ki chori
mujh ko sar-e-bazar ghisaTwa ke nikala
ki us ne hi kuchh KHana-e-nawwab ki chori
jis ne ki mere chehre se aab aah uDa le
sabit hui us par dur-e-nayab ki chori
shab sendh jo di dagh ki ek chor ne 'insha'
to ho gai sab sabr ke asbab ki chori
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.