kash aisa hi kuchh hua hota
kaash aisā hī kuchh huā hotā
achchhe logoñ se sābiqa hotā
ban ga.e saañp āstīnoñ ke
kaash un se na vāsta hotā
ham se un kā rahegā itnā tazād
kaash is kā mujhe patā hotā
rāhzan rāhbar jo ban jaate
jaane kitnoñ kā fā.eda hotā
hai 'hasan' āfatoñ meñ duniyā kī
mere mālik karam kiyā hotā
kash aisa hi kuchh hua hota
achchhe logon se sabiqa hota
ban gae sanp aastinon ke
kash un se na wasta hota
hum se un ka rahega itna tazad
kash is ka mujhe pata hota
rahzan rahbar jo ban jate
jaane kitnon ka faeda hota
hai 'hasan' aafaton mein duniya ki
mere malik karam kiya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.