kash aisa ho ki wo hum ko manane aae
kaash aisā ho ki vo ham ko manāne aa.e
ab bhī ulfat hai use ham se batāne aa.e
jo sunātā thā sabhī vasl ke qisse ham ko
ab vo ik hijr kā qissa bhī sunāne aa.e
bhar ga.e zaḳhm mire dil ke purāne saare
us se kah do ki na.e zaḳhm lagāne aa.e
ho ga.e sard jo ye hijr ke maare jazbe
aise jazbāt ko phir aag lagāne aa.e
ham bhī māneñge ki va.adoñ kā baḌā sachchā hai
ham se ik va.ada kiyā thā vo nibhāne aa.e
saath baiThe haiñ ye ab haath meñ sāġhar thāme
shaiḳh sāhab the nasha ham se chhuḌāne aa.e
terī yādoñ meñ thā khoyā ki mirī aañkh lagī
mujh ko phir raat ga.e ḳhvāb suhāne aa.e
aaj ik saañp sar-e-rāh guzarte dekhā
'shān' kuchh dost mujhe yaad purāne aa.e
kash aisa ho ki wo hum ko manane aae
ab bhi ulfat hai use hum se batane aae
jo sunata tha sabhi wasl ke qisse hum ko
ab wo ek hijr ka qissa bhi sunane aae
bhar gae zaKHm mere dil ke purane sare
us se kah do ki nae zaKHm lagane aae
ho gae sard jo ye hijr ke mare jazbe
aise jazbaat ko phir aag lagane aae
hum bhi manenge ki wadon ka baDa sachcha hai
hum se ek wada kiya tha wo nibhane aae
sath baiThe hain ye ab hath mein saghar thame
shaiKH sahab the nasha hum se chhuDane aae
teri yaadon mein tha khoya ki meri aankh lagi
mujh ko phir raat gae KHwab suhane aae
aaj ek sanp sar-e-rah guzarte dekha
'shan' kuchh dost mujhe yaad purane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.