kash aisa ho wo milne ke bahane aae
kaash aisā ho vo milne ke bahāne aa.e
kuchh sune merī to kuchh apnī sunāne aa.e
us ko dekhe hue ik 'arsa huā hai mujh ko
aa.e vo pyaas hī āñkhoñ kī bujhāne aa.e
dekhnā chāhūñgī jī bhar ke use kah do zarā
us se kah do ki mujhe sirf satāne aa.e
ruuTh saktī huuñ kahāñ us se mohabbat hai mujhe
aur agar ruuTh ga.ī mujh ko manāne aa.e
merā dīvāna thā vo us kā yahī thā dā'vā
us kī dīvāngī kaisī hai batāne aa.e
maiñ ne kaaTī haiñ bahut hijr meñ us kī rāteñ
us ne bhī kaaTī haiñ gar rāteñ sunāne aa.e
kaun qismat se 'munavvar' kabhī laḌ saktā hai
aa.e vo dekhe mirī haar rulāne aa.e
kash aisa ho wo milne ke bahane aae
kuchh sune meri to kuchh apni sunane aae
us ko dekhe hue ek 'arsa hua hai mujh ko
aae wo pyas hi aankhon ki bujhane aae
dekhna chahungi ji bhar ke use kah do zara
us se kah do ki mujhe sirf satane aae
ruTh sakti hun kahan us se mohabbat hai mujhe
aur agar ruTh gai mujh ko manane aae
mera diwana tha wo us ka yahi tha da'wa
us ki diwangi kaisi hai batane aae
main ne kaTi hain bahut hijr mein us ki raaten
us ne bhi kaTi hain gar raaten sunane aae
kaun qismat se 'munawwar' kabhi laD sakta hai
aae wo dekhe meri haar rulane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.