kash hum ko usi chahat se bulaya hota
kaash ham ko usī chāhat se bulāyā hotā
apne us ahd-e-vafā ko hī nibhāyā hotā
sāmne aa ke vo karte vahī shikve ham se
itnī sī baat ko itnā na baḌhāyā hotā
tark-e-ulfat kā sabab ġhairoñ ko batlāte haiñ
yuuñ na nazroñ meñ hameñ sab kī girāyā hotā
yuuñ na karte hameñ badnām zamāne bhar meñ
kuchh to apnā bhī sitam sab ko batāyā hotā
mere afkār zamāne se chhupāte hī rahe
rasm-e-duniyā ke liye kuchh to jatāyā hotā
kaise samjhegī ye duniyā ye taġhāful ye tazād
apnā ahvāl bhī kuchh sab ko sunāyā hotā
baat karte rahe hañs hañs ke mirī ġhairoñ se
sar-e-mahfil to mirā dil na jalāyā hotā
kash hum ko usi chahat se bulaya hota
apne us ahd-e-wafa ko hi nibhaya hota
samne aa ke wo karte wahi shikwe hum se
itni si baat ko itna na baDhaya hota
tark-e-ulfat ka sabab ghairon ko batlate hain
yun na nazron mein hamein sab ki giraya hota
yun na karte hamein badnam zamane bhar mein
kuchh to apna bhi sitam sab ko bataya hota
mere afkar zamane se chhupate hi rahe
rasm-e-duniya ke liye kuchh to jataya hota
kaise samjhegi ye duniya ye taghaful ye tazad
apna ahwal bhi kuchh sab ko sunaya hota
baat karte rahe hans hans ke meri ghairon se
sar-e-mahfil to mera dil na jalaya hota
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 94)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.