Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kash humse bhi wo ranjish karte

Masood Anwar Shafaqi

kash humse bhi wo ranjish karte

Masood Anwar Shafaqi

MORE BYMasood Anwar Shafaqi

    kaash ham se bhī vo ranjish karte

    ham manā lene koshish karte

    aap sun lete gar hamdardī se

    ham bhī thoḌī guzārish karte

    terā andāz thā yaktā varna

    log kis kis parastish karte

    zindagī terī atā thī varna

    ham kahāñ jiine ḳhvāhish karte

    ham bhī shīrīñ ke rahe haiñ tālib

    ham bhī farhād kāvish karte

    kaash vo bhī kabhī sun kar 'anvar'

    mere sheroñ satā.ish karte

    kash hum se bhi wo ranjish karte

    hum mana lene ki koshish karte

    aap sun lete gar hamdardi se

    hum bhi thoDi si guzarish karte

    tera andaz tha yakta warna

    log kis kis ki parastish karte

    zindagi teri ata thi warna

    hum kahan jine ki KHwahish karte

    hum bhi shirin ke rahe hain talib

    hum bhi farhad si kawish karte

    kash wo bhi kabhi sun kar 'anwar'

    mere sheron ki sataish karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now